Monday, October 15, 2012

MILA VATAN KA KHULA NIMANTRAN

MILA VATAN KA KHULA NIMANTRAN

Mila vatan ka khula nimantran, chalo manaane prabhu milan,
Banke farishte gaate hanste, hum toh chale hain hoke magan,

Wahaan naah koi samay ki seema, nah deh duniya ka koi bandhan,
Badi saloni madhur shanti hai, yeh samjhe jaane hamara hi mann,
Hazaaron aaye sabhi samaaye, prabhu ka dil hai bada gagan,

Vatan se karte prabhu ishaare, aao mere laadlo pukaare,
Baahon mein meri aakar samaao, mere hi jaisa swaroop dhaaro,
Unke hi sang mein, ruhaani rang mein rang ke chalenge lagi lagan,

Milan ki anubhuti ek pal ki, deti hai tripti yugon yugon ki,
Yeh sukh ka sansaar hi alag hai, parampita se param sukhon ki,
Sabhi shaktiyaan atindriya sukh, mila khazaane humein sajan,


Mila vatan ka khula nimantran, chalo manaane prabhu milan,
Banke farishte gaate hanste, hum toh chale hain hoke magan.

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.